Dard ae dil

Dard ae dil ki dawa karne chale the mariz ishq ke..

Wo aane ka wada karke na aye mehboob ashiq ke..

Pehle aag thi lagi tez ki ab bujh jayegi sawan mein..

Par ab badal ko na aata dekh.. tapan bhi thandi hone lagi..

Is intzar ka bhi apna alag maza hai..

Kya kahein ki ishq mein araam hai ya saza hai..

Kaun kehta hai mohabbat ki zubaan hoti hai..

Lafz bante hain dil ki zubaan akhir kab tak?

Hum jo likhte hain behosh hue hain kab tak?

Wo jo aate hain dil ki dhakanein chura lete hain..

Wo jo jaate hain to dil ko baitha jaate hain…

Unke aane ki khabar kya jo milti hai…

Unke charcho se hi shaam jawan hoti hai..

Kaun kehta hai mohabbat ki zubaan hoti hai..

Wo jo muskuradein tuk dekh ke hamari taraf..

Kya kahein kaisi bijliyan gira karti hain..

Unke takne ka apna andazey bayaan hai sabse juda..

Wo jo na dekhein to bhi kayamatein bayaan hoti hain..

Unki hasti hai.. wo hasti jinse meri hasti hai..

Kaise keh du ki zindagi unse juda hoti hai..